Likhoon kuch aaj yeh waqt Ka takaza hai, Dil main dard abhi taza taza hai, Gir padte hai aansun mere kagaz par, Lagta hai kalam mai siyahi kam aur dard jyada hai...
Gum ki mujh par kuch aisi nazar ho gayi, Jab bhi hum hase ye aankhe nam ho gayi, Hum roye bhi toh wo jaan naa sake.,aur, Wo udas bi huye to hume khabar ho gayi....
Aansoo ko aankho ki dehlij par laya na karo, Apne Dil Ki Halat kisi ko bataya na karo, Log mutthi me namak liye ghumte hai, Apne zakham kisi ko dikhaya na karo
Sukun apne dil Ka maine Kho diya, Khud ko tanha e ke samundar mai dubo diya, Jo tha mere kabhi muskurane ki wajah, Aaj uski kami ne meri palko ko bhigo diya...
Hasna aur hasana koshish hai meri, Hur koi khush rahe ye chahat hai meri, Bhale hi koi muje yaad kare ya na kare, Hur apne Ko yaad karna aadat hai meri.
Manzilon se apni darr na jaana, Raaste ki pareshaniyon se toot na jaana, Jab bhi zarurat ho zindagi Mai kisi apne ki, Hum aapke apne hain ye bhool na jaana....
Din beet jaate hain suhani yaadein bankar, Baatein reh jaati hain kahani bankar, Par dost to hamesha kareeb rahenge, Kabhi muskaan tho kabhi aankhon ka pani bankar..
Bahut kuch sikha jati hai zindagi, Hasa ke rula jati hai zindagi, Jee sako jitna utna jee lo doston, Kyunki bahut kuch baki rah jata hai Aur khatm ho jati hai zindagi......
Bhulana agar chaho to yaad meri aayegi, Dil ki gehrae mai tasveer meri bas jayegi, Dhundne jo chale humse behtar dost, Tho talash humse shuru hokar hum par hi ruk jaegi...
Khuda ne agar ye silsila banaya na hota, Ek dost ko doosre dost se milayaa na hota, kitni bejan ho jati ye zindegi, Agar aap jaisa dost maine paya na hota....